“Na
jane aaj aisa kya huya ki kah hi dalu, Kitni mobbhat hain tumse”
Kabse
kahne ki himmat juta raha tha,
Kabse
in kore kagajo pe kalmo ke nishaa bana raha tha,
Kabse
in armaano ko tere samne lane se chipa raha tha,
Jab
bhi tu mere samne aati main tham sa jata tha,
Jab
bhi tu apna hath mere hath main deti ek khamosi mere mann main chha jati thi,
Na
jane aaj aisa kya huya ki kah hi dalu, Kitni mobbhat hain tumse…….
Har
chehre main tera chehra talash karna meri aadat jaise ban gayi ho,
Har
waqt tera naam apni jubaan lena meri ibadad jaise ban gayi ho,
Fir
bhi na jane ek anjaan dar tha mere dil main,
Jo
tere sath rah kar bhi kuch na kah pata tha,
Khamishi
se dosti ho gayi thi meri gumsum rahne ki aadat ho gayi thi meri,
Na
jane aaj aisa kya huya ki kah hi dalu, Kitni mobbhat hain tumse…….
Har
waqt hasta rahta tha tujhe hasane ke liye,
Tere
dil main apni ek pyaari si jagah banana ke liye
Saaso
ko tham leta tha jab tere sath hota tha,
Baato
ko bhi soch kar bolta tha jab tere paas hota tha,
Darta
tha teri ruswayi se kahi tu naraj na ho jaye mujhse sada k liye,
Na
jane aaj aisa kya huya ki kah hi dalu, Kitni mobbhat hain tumse……
Jab
suraj ki pahli kiran tere chehre par chamkati hain to DIL tham sa jata hain,
Jab
hasi ki ek pyari si lahar mere kano tak aati hain to WAQT tham sa jata hain,
Jab
julfo ka saya mere chehre par padta hain to PAL tham sa jata hian,
Ye
DIL har WAQT us PAL ko yaad karta hain jab tu mere paas hoti hian,
Fir
bhi na jane kyu main tujhse kabhi ye kah na paya ki kitni mobbhat hain tujhse,
Na
jane aaj aisa kya huya ki kah hi dalu, Kitni mobbhat hain tumse……
No comments:
Post a Comment