Friday, 15 June 2012

Her Lamha tu mujhe kitna satati hian............

Mat rakha kar mujhe khud se door, Ek din tu bhi kahi kho jayegi,

Har lamha tu mujhe kitna satati hain, wo din door nahi jab meri yaad tujhe har pal satayegi,

 

Aakho mian aashu honge tere, Magar tu ro bhi na payegi,

Ek Dard hoga dil main, Magar kisi se kah na payegi,

Yaad karegi raat or din mujhe, har waqt meri soch ko hi chahegi

Har lamha tu mujhe kitna satati hain, wo din door nahi jab meri yaad tujhe har pal satayegi,

 

Bandishe hongi, Majburiya hongi aur Bediya hongi tere pao main,

Agar tu bhag kar bhi aana chahegi to mere paas na aa payegi

Ro-Ro kar khud ko kosegi, apni kismet ko bhi taane lagayegi

Har lamha tu mujhe kitna satati hain, wo din door nahi jab meri yaad tujhe har pal satayegi,

 

Jamane ka dar hain tujhe main janta hoon, abhi riston main bandhi hain tu main janta,

Magar sabse bholi hian re tu, ye bhi main janta hoon,

par mujhe ye to bata….

Kab tak in kacche riston ke sath apni zindgi bitayegi

Har lamha tu mujhe kitna satati hain, wo din door nahi jab meri yaad tujhe har pal satayegi

 

No comments: