Friday, 7 March 2014

kaise kahu unhe bewafa jo door rehkar bhi mujhse wo door nahi jati

Kaise kahu unhe bewafa jo door rehkar bhi mujhse wo door nahi jati
Yaad aati hain mujhe har pal bhule bhulayi nahi jati

Chehra jiska dekh kar katate the raat-o-din mere
Saanso main Rehta tha naam unka raat-o-din mere
Dekhne ko unko milo ka safar tay kar jate the
Raste main aaye har Paththar ko thokar maar kar chale jate the
Bas ek deedar hi kafi hota tha unka dil ki tasalli ko hamare
kho jate the unki baato main kahi, gumsum hokar dekhte the hashi unki

Unki aakhon ki tareef ham kya kare samundar si gehrayi dikhti thi
Or samet hi lete the wo hame apne aaghosh main
Hoti thi beshaq bahut sari baate hamari
Par wo kya keh gaye aaj tak na samjh paye ham

Kitne deewane the unki ada ke ye na hame maloom tha
Pyaar karte the bahut unse bas itna hame maloom tha

Huya ek saal unki bewafai ko abto
Huya ek saal unki bewafai ko abto
Chhut gaya unka sath, tut gaya har Rista abto

Ab us raste ka safar bhi katoo bhara lagta hain
Or us rah main aaya chhota paththar bhi bada pahaad sa lagta hain

Kaise kahu unhe bewafa jo door rehkar bhi mujhse wo door nahi jati
Yaad aati hain mujhe har pal bhule bhulayi nahi jati
Yaise kahu unhe bewafa jo door rehkar bhi mujhse wo door nahi jati.......

Sunday, 2 June 2013

To fir aisa kya huya ki tum mere na ho paye.........

Usse mere dil ka rishta kuch is kadar jud gaya tha ki
Dard mujhe hota tha to takleef use  bhi hoti thi
Man uska udas hota tha to aankhen meri bhar aati thi
To fir aisa kya hua ki tum mere na ho paye

To fir aisa kya hua ki mere aanshu meri aakho main rah gaye
To fir aisa kya hua ki tum mujhse jyada kisi aur ke ho gaye
Jab sath haste the sath baithate the aur sath rahte the 
Har manjil ke liye sath chalte the aur har kaam sath karte hain
Tumne to hamara sath dene ki kasam khayi thi 
Na chhorenge sath umar bhar ye kasam khayi thi
To fir aisa kya huya ki tum mere na ho paye

Mujhe aaj bhi yaad hain wo pal jo tere sath bitaye the
Hatho main leke hath, tere sath kadam se kadam milaye the
kuch masti kuch nadaani or thodi si shararat karna
mujhe aaj bhi yaad hain wo pal jo tere sath bitaye the

Tujhse hi mere sapne the, Tujhse hi mere the armaan
Main pagal tere liye jeeta tha, tujhse hi tha meri mobbhat ka jahaan,
Mera maksad tu ban gayi thi, Meri Chahat tu ban thi
Tune kiya tha jo mujhe pyaar wo sab jhoota tha,
Jo tune karaya tha khud par aitbaar jo sab jhoota tha,

Gar saccha tha tera pyaar to mujhe samjhaja
Karti thi tu bhi mujhse mobbhat itna batlaja
Gar sacchai hain teri baaton main to fir ye to batlaja
Ki aaj aisa kya huya ki tum mere na ho paye.

Saturday, 16 March 2013

Uske jane se kuch nahi badla yaaro

Uske jane se kuch nahi badla yaaro
Hasta kal bhi tha Hasta aaj bhi hoon
Rota kal bhi tha Rota aaj bhi hoon
Jeeta kal bhi tha Jeeta aaj bhi hoon
Saanse kal bhi chalti thi Saanse aaj bhi chalti hain
Dil kal bhi dhadakata thi Dil aaj bhi dhadakta hain
Soch kal bhi uski thi Soch aaj bhi uski hain
Baaten kal bhi uski thi Baathe aaj bhi uski hain
Ehsaas kal bhi uska tha Ehsaas aaj bhi uska hain
Sapne kal bhi uske the Sapne aaj bhi uske hain
Naam Jubaan par kal bhi uska tha Naam jubaan par aaj bhi uska hain
Main kal bhi uska tha Main aaj bhi uska hoon
Bas fark pada hain to itna ki
Kal jab use yaad karke Dil main KHUSHI hoti thi
Aaj use yaad karke Dil main DARD hota hain
Yaha meri saanse ko uska Naam lene se RAAHAT milti thi
Waha ab meri saanso uska Naam lene se CHUBHAN hoti hain
Uske jane se kuch nahi badla yaaro
Uske jane se kuch nahi badla yaaro

Thursday, 31 January 2013

Mere pyaar ka wada nibhane tujhne aana padega....



Mere pyaar ka wada nibhane tujhne aana padega....
Mera har pal sath nibhane tujhe aana padega,
Main intzaar karunga apni jindgi ke har aakhiri mod par tera
Mera pyaar nibhane tujhe aana padega,
Logo ne bandh dia hain tujhe kacche dhago ki dor main
Un dhago ki dor ko tujhe tod kar mere paas aana padega,
Agar le rahi hogi tu faire kisi aur ke sath
Un fairo ko chhor kar tujhe aana padega,
Ek hath main hoga mere sindoor or duje main hoga manglesutra
Inko mujhse apna banane ke liye tujhe aana padega,
Meri har saans tere naam se chalti hain
Meri saanso ko chalne ki ijajat dene ke liye tujhe aana padega,
Mere dil ne tujhse bhagwan maan liya hain yaar
Apne is pujari ko bachane ke liye tujhe aana padega,
Main na darta hoon is jamane se to tu kyu darti hain
Tod kar is dar ko tujhe meri bahon main aana padega,
Zindgi meri beet rahi hain ro ro kar ooh meri sahiba
Apne mirja ki jindgi main muskurahat lane ke liye tujhe aana padega,
Na jane kitne aur kaaran aise jinhe main wayan bhi na kar pau
Un sabhi kaarno ko pura karne ke liye tujhe aana padega
tujhe meri hain kasam
tujhe aana padega bas tujhe aana padega……

Sunday, 6 January 2013

Tu mujh main sama ja khushboo ban kar........

Tu mujh main sama ja khushboo ban kar
aur main tujhme dhadkata rahoon teri dhadkan ban kar
tere hotho ko apne hotho se kaid kar loon
tere jism ko apne aaghos main bhar loon
gar ho tujhe dar mujhse door hone ka
to aa apni ruh tere jism main bhar doon
mobbhat karu tujhse itni mera har ehsaas tera ho
aur jab tu saans le to usme har ehsaas mera ho
tere jism se apne jism ko rigadu
tere htheliye ko apni mutthi main kaid kar loon
tu mujhe dekhati rahe aur main tujhe dekhta rahu
bas aaj ab main apni sari hasrat puri kar loon
bada purana sapna hain ye mere pyaar ka
har kia wada nibhana hain mujhe mere yaar ka
tu aa mere paas aaj sari duniya tere kadmo main kar doon
hath main lekar sindoor aaj teri maang bhar doon
lekin aaj....
Tu mujh main sama ja khushboo ban kar
aur main tujhme dhadkata rahoon teri dhadkan ban kar.

Wednesday, 26 December 2012

Aaj tanha hoon bahut main meri tanhaiyo ko mita ja

Aaj tanha hoon bahut main meri tanhaiyo ko mita ja,
Tere bina kaise jiu ye aake mujhe bata ja
Raaten tanha katati nahi hain tere bin
Meri in raaton ko toh tu samjha ja
Tere dil se mere dil ka rista jud gaya hain
Is riste ko toh tu nibha ja
Bewafa nahi hain tu ye janta hoon main
Par aakar mujhse wafa to nibha ja
Aaj tanha hoon bahut main meri tanhaiyo ko mita ja
Takdeer se haar nahi mani hain maine
Apni kismat se bhi lad raha hoon
Aakhon main itne aashu bhare hain
In sabhi aashuo ko main chhipa kar pee raha hoon
Na jane kon sa aisa rista hain tujhse mera
Paas na hote huye bhi tu mere sath rahti hian
Ab itna dard aa gaya hain mere seene hain
Ki bas hoton pe marne ki fariyaad rahti hain
Tu ek kaam kar mujhe bas jeene ki wajah bata ja
Tere se jude is riste ko kaise todu itni si baat mujhe samjha ja
Aaj tanha hoon bahut main meri tanhaiyo ko mila ja
Aisa nahi hain tu mera dard mehsoos na karti ho
Arrey aisa bhi nahi hain ki tu mere liye roti bhi na ho
Ye dard aur aanshu ka rista tujhse juda nahi hain mera
Is baat ko jhuthalaja
Rah legi mere bina tu khush iska baat ka yakeen dila ja
Aaj tanha hoon bahut main meri tanhaiyo ko mita ja 
Tere bina kaise jiu ye aake mujhe bata ja........

Monday, 24 December 2012

Jo lafzo mein nahi kah jati woh mehsoos hone do

Jo lafzo mein nahi kah jati woh mehsoos hone do, Abhi puri raat hain baki mujhe jara khud main khone do,
Apne ehsaas ko mujhe pane do, apni saaso main, apni ruh main, apni dhadkano main aaj sama jane do,
Mat roko mujhe, mujhe jara ye ehsaas to hone do, Abhi puri raat hain baki mujhe jara khud main khone do.

Pyase hain hoth mere, pyasa hain Mann mera, aaj mujhe apni is pyaas ko bhujane do,
Tujhe ek bar apni ruh bana loon, mujhe is Kadar apne aaghosh main khne do,
Jo lafzo mein nahi kah jati woh mehsoos hone do, Abhi puri raat hain baki mujhe jara khud main khone do.

Na tum kuch Bolo, Na ham kuch Bolen, aankho aankho main baaten hone do,
Apni tadpan, hamari chahat Ko aaj ek hone do, Tanhaiya bahut hain mere daaman main inhe mujhse door hone do,
Mat roko mujhe, mujhe jara ye ehsaas to hone do, Abhi puri raat hain baki mujhe jara khud main khone do.

Aaj tujhe pakar aisa lagta hain duniya ki har khushi meri pahlu main aa gayi hain….
Aur Duniya se parda karke tu meri baho main aa gayi hain,
Mat sone do mujhe, mujhe aaj sari raat Khone do, apne aaghosh main bhar lo, Jara sa mujhe madhhosh to hone do

Jo lafzo mein nahi kah jati woh mehsoos hone do, Abhi puri raat hain baki mujhe jara khud main khone do.

Sunday, 24 June 2012

Ek din mere yaaro ne mujhse pucha, kyu karta hain itni mobbhat use......

Ek din mere yaaro ne mujhse pucha, kyu karta hain itni mobbhat use
To Maine Kaha……
Janta hoon main sab kuch, janti hain wo sab kuch,
Fir bhi ek dusre se kabhi kuch nahi kahte hain,
Aakhen band hain unki, aakhen band hain hamari,
Ham unme rahte hain,wo ham main rahte hain,

Ek din mere yaaro ne mujhse pucha kyu karta hain itni mobbhat use
To Maine Kaha……
Unke bina jeena hame gunah lagta hain, ek pal unhe na sochu to ye din nahi katata hain,
Har saans main wo mere basi hain aise, ki saanse niklti nhi unka naam liye bina,
Jab dhadkata hain dil mera to dhadkan chalti nahi hain unka naam liye bina,
Raato ko sapne main aa kar wo mujhe satati hain,
Din main mere samne rahkar deewana sa banati hian,

Ek din mere yaro ne mujhse pucha kyu karta hain itni mobbhat use……
To Maine Kaha……
Ki aage kya batau aaj-kal to raate aisi katati hain, Har waqt meri tanhaiyo par hasti hain,
Maine bhi kah diya in raato se.......
E-rat tu mere tanhaiyo par is kadar mat has,
wo din door nahi jab meri mobbhat mere aaghosh main hogi,
aur tu ek pal main gujar jayegi,
Arrey meri deewangi ko to dekho…..
Main to us khuda se bhi lad liya jisne mera bajood banaya hain,
Kah diya mat karna use mujhse door warna mita dunga sab kuch,
Jo tune mere bas main banaya hain,
Ek din mere yaro ne mujhse pucha kyu karta hain itni mobbhat use……

Meri Kismat tu ban gayi hain…….

Har lamha ek gunah karta hoon, Aashuo ke sath tujhe yaad karta hoon,
Na Ho jau tujhse door kahi,
Ab raat din yehi fariyad karna meri deewangi jaise ban gayi hain,
Shayad tujhe pata na ho e-meri mobbhat…..
Meri kismet tu ban gayi hain,

Tadpata hoon main raato ko, ki din main Pagalo ki tarah jaha-waha firta hoon,
Har aks main tera aks dhundta hoon
Shamo-subah ab yehi karana meri aadat jaisi ban gayi hain,
Shayad tujhe pata na ho e-meri mobbhat…..
Meri kismet tu ban gayi hain,

Mobbhat main jo dard hain wo deewane jante hain,
Kyu marte hain deewane jaha ye afsaane jante hain,
Mat bana mujhe afsaana, ye deewana hain tera,
Kar kabool meri mobbhat ko, ye farmana hain mera,
Tujhe har haal main pane ki ab meri sarfarosi ban gayi hain,
Shayad tujhe pata na ho e-meri mobbhat…..
Meri kismet tu ban gayi hain,

Wednesday, 20 June 2012

Par tere siba main kisi aur se na Pyaar karunga…..


Aaj aayegi, to intzaar karunga, Kal aayegi, to intzaar karuna,
Meri zindgi ki aakhiri saans par aayegi to bhi tera intzaar karunga,
Par tere siba main kisi aur se na Pyaar karunga…..

Meri saanso ko mahkane wali tu hai, In dhadkano main samane wali tu hian,
Meri ruh ko jaan se churane wali tu hain, arrey ab isase jyada kya kahu, ki…
Mujhe pyaar ka matla sikhane wali bhi tu hian,
Har pal tere is ehsaas ko apne sath mehsoos karunga,
Par tere siba main kisi aur se na Pyaar karunga…..

Pyaar ka Daman thama jisne wo jamane ka bura ban gaya,
Pyaar ka pana chaha jisane wo jamane ka bura ban gaya,
Deewana kahe jamana mujhe, mujhe jamane ka dar nahi,
Parwana Kahe jamana mujhe, mujhe jamane ka dar nahi,
Gar paththar marega jamana mujhe to…..
Tere pahloo main sir rakh kar kahi so jaya karunga,
Is jamane se door kahi bahut door ho jaya karunga,
Par tere siba main kisi aur se na Pyaar karunga…..

Na ye meri jidd hain na junoon hain ye mera
Tujhe pana meri majboori hain kuch aisa asar hian mujh par tera
Ab is majboori ko manjil bana kar apna har khwab pura karunga
Par tere siba main kisi aur se na pyaar karunga…..