Wednesday, 26 December 2012

Aaj tanha hoon bahut main meri tanhaiyo ko mita ja

Aaj tanha hoon bahut main meri tanhaiyo ko mita ja,
Tere bina kaise jiu ye aake mujhe bata ja
Raaten tanha katati nahi hain tere bin
Meri in raaton ko toh tu samjha ja
Tere dil se mere dil ka rista jud gaya hain
Is riste ko toh tu nibha ja
Bewafa nahi hain tu ye janta hoon main
Par aakar mujhse wafa to nibha ja
Aaj tanha hoon bahut main meri tanhaiyo ko mita ja
Takdeer se haar nahi mani hain maine
Apni kismat se bhi lad raha hoon
Aakhon main itne aashu bhare hain
In sabhi aashuo ko main chhipa kar pee raha hoon
Na jane kon sa aisa rista hain tujhse mera
Paas na hote huye bhi tu mere sath rahti hian
Ab itna dard aa gaya hain mere seene hain
Ki bas hoton pe marne ki fariyaad rahti hain
Tu ek kaam kar mujhe bas jeene ki wajah bata ja
Tere se jude is riste ko kaise todu itni si baat mujhe samjha ja
Aaj tanha hoon bahut main meri tanhaiyo ko mila ja
Aisa nahi hain tu mera dard mehsoos na karti ho
Arrey aisa bhi nahi hain ki tu mere liye roti bhi na ho
Ye dard aur aanshu ka rista tujhse juda nahi hain mera
Is baat ko jhuthalaja
Rah legi mere bina tu khush iska baat ka yakeen dila ja
Aaj tanha hoon bahut main meri tanhaiyo ko mita ja 
Tere bina kaise jiu ye aake mujhe bata ja........

No comments: