Sunday, 24 June 2012

Ek din mere yaaro ne mujhse pucha, kyu karta hain itni mobbhat use......

Ek din mere yaaro ne mujhse pucha, kyu karta hain itni mobbhat use
To Maine Kaha……
Janta hoon main sab kuch, janti hain wo sab kuch,
Fir bhi ek dusre se kabhi kuch nahi kahte hain,
Aakhen band hain unki, aakhen band hain hamari,
Ham unme rahte hain,wo ham main rahte hain,

Ek din mere yaaro ne mujhse pucha kyu karta hain itni mobbhat use
To Maine Kaha……
Unke bina jeena hame gunah lagta hain, ek pal unhe na sochu to ye din nahi katata hain,
Har saans main wo mere basi hain aise, ki saanse niklti nhi unka naam liye bina,
Jab dhadkata hain dil mera to dhadkan chalti nahi hain unka naam liye bina,
Raato ko sapne main aa kar wo mujhe satati hain,
Din main mere samne rahkar deewana sa banati hian,

Ek din mere yaro ne mujhse pucha kyu karta hain itni mobbhat use……
To Maine Kaha……
Ki aage kya batau aaj-kal to raate aisi katati hain, Har waqt meri tanhaiyo par hasti hain,
Maine bhi kah diya in raato se.......
E-rat tu mere tanhaiyo par is kadar mat has,
wo din door nahi jab meri mobbhat mere aaghosh main hogi,
aur tu ek pal main gujar jayegi,
Arrey meri deewangi ko to dekho…..
Main to us khuda se bhi lad liya jisne mera bajood banaya hain,
Kah diya mat karna use mujhse door warna mita dunga sab kuch,
Jo tune mere bas main banaya hain,
Ek din mere yaro ne mujhse pucha kyu karta hain itni mobbhat use……

No comments: